Noor-o-Nahlaaye Ho Qamat-e-Gulzaar K Pass
AiK Ajab Chaoo'n Mein Hum Baithay Yaar K Pass
Uss Ki Aik Aik Negeh Dil Pay Padi Aisi K Bus
Arzz Karnay Ko Na Tha Kuch Lab-e-Izhaar K Pass
Youn Hum-Agosh Hua Mujh Say K Sab Toot Gaye
Jitnay Bhi Buttt Thay Sanam Khana-e-Pindaar K Pass
Yeh Mohabbat To Naseeboo'n Say Mila Karti Hai
Chal K Khud Aaye Maseeha Kisi Beemar K Pass
Phir Ussay Saya-e-Deewar Nay Uthnay Na Dia
Aa K Ik Baar Jo Baitha Teri Deeewar K Pass
Tujh Mein Ik Aisi Kashish Hai K Baqol-e-Ghalib
Khud Ba Khud Puhanchay Hai Gull, Gosha-e-Dastaar K Pass
Tera Saya Rahay Sir Par To Kisi Hashar Ki Dhoop
Sard Pad Jaaye Jo Aaye Bhi Guehgaar K Pass
Obaidullah AleemAdded (09.13.2011, 0:22 Am)
---------------------------------------------
Hijar Kartay Ya Koi Wasl Guzara Kartay
Hum Bahr-Haal Basar Khwab Tumhara Kartay
Aik Aisi Bhi Ghadi Ishq Mein Aayi Thi K Hum
Khaak Ko Hath Lagatay To Sitara Kartay
Abb To Mil Jao Humein Tum K Tumhari Khatir
Itni Door Aa Gaye Duniya Say Kinara Kartay
Aik Chehray Mein To Mumkin Nahi Itnay Chehray
Kis Say Kartay Jo Koi Ishq Dobara Kartay
Jab Hai Yeh Khana-e-Dil Aap Ki Khalwat K Liye
Phir Koi Aaye Yahan Kaisay Gawara Kartay
Kon Rakhta Hai Andheeray Mein Dia Aankh Mein Khwab
Teri Janib Hee Teray Log Ishara Kartay
Zarf-e-Aaina Kahan Aur Tera Husn Kahan
Hum Teray Chehray Say Aaina Sanwara Kartay
Obaidullah Aleem
Added (09.14.2011, 6:11 Am)
---------------------------------------------
Hum Kahan Aur Tum Kahan Janaa'n
Hain Kayi Hijar Darmiyaa'n Janaa'n
Raigaa'n Wasl Mein Bhi Waqt Hua
Par Hua Khoob Raigaa'n Janaa'n
Added (09.14.2011, 6:42 Am)
---------------------------------------------
Jaanay Kyun Tum Mustaqil Daman Kushaa'n Rehnay Lagi'n
Bay Sabab Na Meharbaa'n, Na Meharbaa'n Rehnay Lagi'n
Bhool Kar Ahed-e-Nazar Jaanay Kahan Puhancha Khayal
Chodh Kar Sheher-e-Wafa Jaanay Kahan Rehnay Lagi'n
Added (09.14.2011, 6:43 Am)
---------------------------------------------
Log Kehtay Hain Yekeenan Theek He Kehtay Hain Log
Mein Faqat Wehmoo'n Ki Duniya Mein Safar Karta Raha
Mein Nay Maangi Bijliyoo'n Say Kharman Andoozi Ki Daad
Pathroo'n Say Khwahish-e-Lutf-e-Nazar Karta Raha
Added (09.18.2011, 1:08 Am)
---------------------------------------------
Shaak-e-Umeed Jal Gayi Ho Gi
Dil Ki Halat Sambhal Gayi Ho Gi
Jaun ! Iss Aan Tak Bakhair Hoon Mein
Zindagi Daao Chal Gayi Ho Gi
Ik Jahannum Hai Mera Seena Bhi
Aarzu Kab Ki Gal Gayi Ho Gi
Soz-e-Partaw-e-Nigaah Na Pooch
Mardumuk To Pighal Gayi Ho Gi
Hum Nay Daikhay Thay Khwab Sholoo'n K
Neend Aankhoo'n Mein Jal Gayi Ho Gi
Uss Nay Mayoos Kar Dia Ho Ga
Phaans Dil Say Nikal Gayi Ho Gi
Abb To Dil He Badal Gaya Abb To
Saari Duniya Badal Gayi Ho Gi
Dil Galli Mein Raqeeb-e-Dil Ka Jaloos
Waan To Talwar Chal Gayi Ho Gi
Ghar Say Jis Roz Mein Chala Hoon Ga
Dil Ki Dilli Machal Gayi Ho Gi
Dhoop, Yaani k Zard Zard Ik Dhoop
Laal Qallay Say Dhal Gayi Ho Gi
Hijar-e-Hiddat Mein Yaad Ki Khushbu
Aik Pankha Sa Jhal Gayi Ho Gi
Aayi Thi Moj-e-Sabz-e-Baad-e-Shamaal
Yaad Ki Shaakh Phal Gayi Ho Gi
Wo Dam-e-Subah, Ghussal Khanay Mein
Meray Pehlu Say, Shal Gayi Ho Gi
Sham-e-Subh-e-Firaaq Daaim Hai
Abb Tabiyat Behal Gayi Ho Gi
Added (09.18.2011, 1:11 Am)
---------------------------------------------
Abb Yahi Tay Hua K Hum Tujh Say Qareeb Tar Nahi
Aaj Teray Takkulufaat Dil Pay Garaa'n Guzar Gaye
Added (09.18.2011, 2:38 Am)
---------------------------------------------
Bol Ay Naseh-e-Shakibaai
Kya Zaroori Tha Moat Kyun Aayi ?
Dakhal Kis Ko Bhala Masheeat Ka
Kya Masheeat Hai Sirf Khudraai ?
Kya Mein Pochun k Unn K Marnay Say
Kya Mila Kis Nay Zindagi Paayi ?
Sab Ko Mitna Hai Sab Ko Marna Hai
Doob Jaaye Yeh Shok-e-Yaktaai !
Jibraeel-o-Khuda Ki Umer Daraaz
Ashraf-o-Khalq Ki Yeh Ruswaai !
.
Khwaish-e-Zeest Kis Say Chooti Hai
Umat-e-Saadiqeen Jhooti Hai