[ New messages · Members · Forum rules · Search · RSS ]
  • Page 1 of 1
  • 1
Jaun Elia
AadiDate: Thursday, 09.08.2011, 8:25 AM | Message # 1
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Salam

Only Share Poetry Of Jaun Elia in This Thread
 
saadiDate: Thursday, 09.08.2011, 8:34 AM | Message # 2
Private
Group: Users
Messages: 3
Reputation: 0
Status: Offline
Seena Dehk Raha Hay To Kya Chup Rahy Koi..
kiun Cheekh Cheekh Kr Na Gala Cheel Le Koi..
Sabu Hua Sukoon-E-Dil-O-Jan Kahin Nhi..
Rishton Main Dhoondta Hay To Dhoonda Kary Koi..
Tark-E-T'aluqat Koi Mas'la Nhi..
Ye To Wo Raasta Hay K Bus Chal Pary Koi..
Diwar Jaanta Tha Jisy Main Wo Dhool Thi..
Ab Mujh Ko Aitamaad Ki Daawat Na De koi..
Main Khud Ye Chahta Hun K Halaat Hon Kharab..
Mery Khilaaf Zehr Ugalta Phiry Koi..
Ay Shakhs Ab To Mujh Ko Sabhi Kuch Qubool..
Ye B Qubool Hay K Tujhe Cheen Le Koi..
Han Theek Hay Main Apni Ana Ka Mareez Hun..
Aakhir Mery Mizaj Main Kiyun Dakhal De Koi..
Ik Shakhs Kr Raha Hay Abhi Tak Wafa Zikr..
Kaash Iss Zuban-Daraaz Ka Munh Noch Le Koi!!!
[John Ailia]
 
AadiDate: Thursday, 09.08.2011, 2:42 PM | Message # 3
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Hai Yaad Par Madaar Mere Karobaar Ka
Hai Arz Aap Se K Bahut Yaad Aiyey ..!!

[ Poet : Jaun Elia ]
 
IsrarDate: Friday, 09.09.2011, 1:25 AM | Message # 4
Private
Group: Users
Messages: 19
Reputation: 0
Status: Offline
Quote (saadi)
Tark-E-T'aluqat Koi Mas'la Nhi..
Ye To Wo Raasta Hay K Bus Chal Pary Koi.


Tark-e-Ta'ullq To Koi Masla Nahi
Yeh To Wo Rasta Hai K Bus Chal Paday Koi[

Added (09.09.2011, 1:25 Am)
---------------------------------------------
Hum Nay Bhaija To Ussay Kya Bhaija
Mushda-e-Tark-e-Mudu'aa Bhaija

Kis Ka Ashoob-e-Ramz Hai Jis Nay
Khaamshi Ko Sada Sada Bhaija

Yeh Bhi Hai Arz-e-Shok Ka Ik Rang
Hum Nay Naama, Raqeeb Ka Bhaija

DIL NAY BHAIJI TUJHAY, MATAA-e-WAFA
DAIKH TO, WO BHI, JO NA THA, BHAIJA

USS NAY MANZIL KO BAY NISHAA'N RAKH KAR
MERAY QADMOO'N KO RAASTA BHAIJA

Mein Jo Khud Bhi Nahi Kahen Mojood
Mein Nay Apni Taraf Khuda Bhaija

Haaye! Rishtoo'n Ki Yeh Nigehdaari
Uss Ki Qurbat Nay Faasla Bhaija

JOAN! Loh-o-Qalam K Maalik Nay
Dosroon Ka Likha Hua Bhaija

Kya Khata Bhi Paimbaroo'n Ki Bhala
Kyun Ghareeboo'n Ko Bay Khata Bhaija


Message edited by Israr - Friday, 09.09.2011, 0:45 AM
 
AadiDate: Friday, 09.09.2011, 3:08 AM | Message # 5
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Hai Yaad Par Madaar Mere Karobaar Ka
Hai Arz Aap Se K Bahut Yaad Aiyey ..!!

[ Poet : Jaun Elia ]
 
AadiDate: Friday, 09.09.2011, 3:08 AM | Message # 6
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Uss Sarapa e Wafa Ki Furqat Mein..
Khwahish-e-Ghair Kyun Satati Hai..!

[ Poet : Jaun Elia ]
 
AadiDate: Friday, 09.09.2011, 11:42 PM | Message # 7
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Apne Yousuf Ko Zulekha Ki Tarah Tum Bhi Kabhi..
Kuch Haseeno Se Mila Do To Maza Aa Jaaye..!!
[Poet : Jaun Elia]
 
mohtashimDate: Saturday, 09.10.2011, 2:38 PM | Message # 8
Private
Group: Users
Messages: 4
Reputation: 0
Status: Offline
bhut achi postings hein...
 
AadiDate: Monday, 09.12.2011, 12:16 PM | Message # 9
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Ay Shakhs Ab Tu Mujh Ko Sabhi Kuch Kabool Hai
Ye Bhi Kabool Hai K Tujhy Cheen Le Koi ...!!

[ Poet : Jaun Elia ]
 
IsrarDate: Tuesday, 09.13.2011, 0:26 AM | Message # 10
Private
Group: Users
Messages: 19
Reputation: 0
Status: Offline
Naya Ik Rishta Paida Kyun Karain Hum
Bichadhna Hai To Jhagda Kyun Karan Hum

Wafa, Ikhlaas, Qurbaani, Mohabbat
Abb In Lafzoon Ka Peecha Kyun Karain Hum

Yeh Kaafi Hai k Hum Dushman Nahi Hain
Wafadaari Ka Dawa Kyun Karain Hum

Kya Tha Ehad Jab Lamhoon Mein Hum Nay
To Saari Umer Aeffa Kyun Karain Hum

Utha Kar Kyun Na Phainkain Saari Cheezain
Faqat Kamroon Mein Tehlaa Kyun Karain Hum

Barehna Hain Sar-e-Bazaar To Kya
Bhalla Andhoon Say Parda Kyun Karain Hum

Hain Bashinday Issi Basti K Hum Bhi
So Khud Par Bhi Bharosa Kyun Karain Hum

Nahi Duniya Ko Jab Parwaa Humari
To Phir Duniya Ki Parwa Kyun Karain Hum

Padi Rehnay Do Insaanoo'n Ki Laashain
Zamee'n Ka Boojh Halka Kyun Karain Hum

Yeh Basti Hai Mosalmaanoo'n Ki Basti
Yahan Kar-e-Masiha Kyun Karain Hum
 
AadiDate: Tuesday, 09.13.2011, 1:30 AM | Message # 11
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Gila Hai Aik Gali Se Shehr-E-Dil Ki ..
Main Larta Phir Raha Hon Shehar Bhar Se..!!

[ Poet : Jaun Elia ]
 
AadiDate: Wednesday, 09.14.2011, 1:32 AM | Message # 12
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
[ For The Recent Voilence Of Karachi ]

Usi Aalam Mien Mubtala Hoon Main...
Wo Jo Aalam Hai Shehr Ka Janaan...
[ Poet : Jaun Elia ]
 
AadiDate: Wednesday, 09.14.2011, 1:33 AM | Message # 13
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Apne Sabhi Gilay Baja Par Hai Yehi K Dil Ruba..
Mera Tera Mamla Ishq K Bas Ka Tha Nahi..!!

[ Poet : Jaun Elia ]
 
IsrarDate: Tuesday, 09.20.2011, 4:14 PM | Message # 14
Private
Group: Users
Messages: 19
Reputation: 0
Status: Offline
Quote (Aadi)
[ For The Recent Voilence Of Karachi ]

Usi Aalam Mien Mubtala Hoon Main...
Wo Jo Aalam Hai Shehr Ka Janaan...
[ Poet : Jaun Elia ]



Zabardast Meray Pass Bhi Kuch Hai Issi Baray Mein Par Andaaz Aur Hai Uss Ka

Sawairay He Say Ghar Aa Jaayio Aaj
Hai Roz-e-Waqayya Bahir Na Rahiyo

Added (09.14.2011, 6:16 Am)
---------------------------------------------
Hum Kahan Aur Tum Kahan Janaa'n
Hain Kayi Hijar Darmiyaa'n Janaa'n

Raigaa'n Wasl Mein Bhi Waqt Hua
Par Hua Khoob Raigaa'n Janaa'n

Added (09.14.2011, 6:44 Am)
---------------------------------------------
Log Kehtay Hain Yekeenan Theek He Kehtay Hain Log
Mein Faqat Wehmoo'n Ki Duniya Mein Safar Karta Raha

Mein Nay Maangi Bijliyoo'n Say Kharman Andoozi Ki Daad
Pathroo'n Say Khwahish-e-Lutf-e-Nazar Karta Raha

Added (09.14.2011, 6:44 Am)
---------------------------------------------
Jaanay Kyun Tum Mustaqil Daman Kushaa'n Rehnay Lagi'n
Bay Sabab Na Meharbaa'n, Na Meharbaa'n Rehnay Lagi'n

Bhool Kar Ahed-e-Nazar Jaanay Kahan Puhancha Khayal
Chodh Kar Sheher-e-Wafa Jaanay Kahan Rehnay Lagi'n

Added (09.18.2011, 1:04 Am)
---------------------------------------------
Shaak-e-Umeed Jal Gayi Ho Gi
Dil Ki Halat Sambhal Gayi Ho Gi

Jaun ! Iss Aan Tak Bakhair Hoon Mein
Zindagi Daao Chal Gayi Ho Gi

Ik Jahannum Hai Mera Seena Bhi
Aarzu Kab Ki Gal Gayi Ho Gi

Soz-e-Partaw-e-Nigaah Na Pooch
Mardumuk To Pighal Gayi Ho Gi

Hum Nay Daikhay Thay Khwab Sholoo'n K
Neend Aankhoo'n Mein Jal Gayi Ho Gi

Uss Nay Mayoos Kar Dia Ho Ga
Phaans Dil Say Nikal Gayi Ho Gi

Abb To Dil He Badal Gaya Abb To
Saari Duniya Badal Gayi Ho Gi

Dil Galli Mein Raqeeb-e-Dil Ka Jaloos
Waan To Talwar Chal Gayi Ho Gi

Ghar Say Jis Roz Mein Chala Hoon Ga
Dil Ki Dilli Machal Gayi Ho Gi

Dhoop, Yaani k Zard Zard Ik Dhoop
Laal Qallay Say Dhal Gayi Ho Gi

Hijar-e-Hiddat Mein Yaad Ki Khushbu
Aik Pankha Sa Jhal Gayi Ho Gi

Aayi Thi Moj-e-Sabz-e-Baad-e-Shamaal
Yaad Ki Shaakh Phal Gayi Ho Gi

Wo Dam-e-Subah, Ghussal Khanay Mein
Meray Pehlu Say, Shal Gayi Ho Gi

Sham-e-Subh-e-Firaaq Daaim Hai
Abb Tabiyat Behal Gayi Ho Gi

Added (09.20.2011, 4:14 PM)
---------------------------------------------
Akhiri Baar Aahh!! Kar Li Hai
Mein Nay Khud Say Nibah Kar Li Hai

Apnay Sar Ik Balaa To Laini Thi
Mein Nay Wo Zulf Apnay Sar Li Hai

Din Bhala Kis Tarah Guzaro Gay
Wasl Ki Shab Bhi Abb Guzar Li Hai

Jaa'n Nisaroon Pay War Kya Karna
Mein Nay Buss Hath Mein Sippar Li Hai

Jo Bhi Maango Udhar Doon Ga Mein
Uss Galli Mein Dukaan Kar Li Hai

Mera Kashkool Kab Say Khali Tha
Mein Nay Uss Mein Sharab Bhar Li Hai

Aur To Kuch Nahi Kia Mein Nay
Apni Halat Tabah Kar Li Hai

Shaiykh Aya Tha Mohtasib Ko Liay
Mein Nay Bhi Unn Ki Wo Khabar Li Hai

 
  • Page 1 of 1
  • 1
Search: