[ New messages · Members · Forum rules · Search · RSS ]
  • Page 1 of 1
  • 1
Nasir Kazmi
AadiDate: Thursday, 09.08.2011, 8:25 AM | Message # 1
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Salam

Only Share Poetry Of Nasir Kazmi in This Thread
 
IsrarDate: Friday, 09.09.2011, 1:54 AM | Message # 2
Private
Group: Users
Messages: 19
Reputation: 0
Status: Offline
Mein Hoon Raat Ka Aik Baja Hai
Khaali Rasta Bol Raha Hai

Aaj To Youn Khamosh Hai Duniya
Jaisay Kuch Honay Wala Hai

Kaisai Andheeri Raat Hai Daikho
Apnay Aap Say Darr Lagta Hai

Aaj To Shehar Ki Ravish Ravish Par
Pattoo'n Ka Mela Sa Laga Hai

Aao Ghaas Pay Saba Jama'yen
Maykhana To Band Pada Hai

Phool To Saaray Jhadh Gaye Laykin
Teri Yaad Ka Zakham Harra Hai

Tu Nay Jitna Pyar Dia Tha
Dukh Bhi Mujhay Utna He Dia Hai

Yeh Bhi Hai AIk Tarah Ki Mohabbat
Mein Tujh Say, Tu Mujh Say Khafa Hai

Yeh Teri Manzil, Wo Mera Rasta
Tera Mera Sath He Kya Hai

Mein Nay To Ik Baat Kahi Thi
Kya Tu Sach Much Rooth Gaya Hai

Aisa Gahak Kon Say Jis Nay
Sukh Day Kar Dukh Mol Lia Hai

Tera Rasta Taktay Taktay
Khet Gagan Ka Sookh Raha Hai

Khidki Khool K Daikh To Bahir
Dair Say Koi Shakhs Khada Hai

Saari Basti So Gayi NASIR
Tu Abb Tak Kyun Jaag Raha Hai
 
AadiDate: Friday, 09.09.2011, 3:07 AM | Message # 3
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Dil Dharakne Ka Sabab Yad Aya
Wo Teri Yad Thi Ab Yad Aya

Aj Mushkil Tha Sambhalna Ai Dost
Tu Musibat Main Ajab Yad Aya

Din Guzra Tha Bari Mushkil Se
Phir Tera Wada-E-Shab Yad Aya

Tera Bhula Hua Paiman-E-Wafa
Mar Rahenge Agar Ab Yad Aya

Phir Kai Log Nazar Se Guzre
Phir Koi Shahar-E-Tarab Yad Aya

Hal-E-Dil Ham Bhi Sunate Lekin
Jab Wo Rukhsat Hue Tab Yad Aya

Baith Kar Saya-E-Gul Main 'Nasir'
Ham Bahut Roye Wo Jab Yad Aya

 
IsrarDate: Tuesday, 09.20.2011, 4:21 PM | Message # 4
Private
Group: Users
Messages: 19
Reputation: 0
Status: Offline
Quote (Aadi)
Dil Dharakne Ka Sabab Yad Aya
Wo Teri Yad Thi Ab Yad Aya

Aj Mushkil Tha Sambhalna Ai Dost
Tu Musibat Main Ajab Yad Aya

Din Guzra Tha Bari Mushkil Se
Phir Tera Wada-E-Shab Yad Aya

Tera Bhula Hua Paiman-E-Wafa
Mar Rahenge Agar Ab Yad Aya

Phir Kai Log Nazar Se Guzre
Phir Koi Shahar-E-Tarab Yad Aya

Hal-E-Dil Ham Bhi Sunate Lekin
Jab Wo Rukhsat Hue Tab Yad Aya

Baith Kar Saya-E-Gul Main 'Nasir'
Ham Bahut Roye Wo Jab Yad Aya


One Of My Fav. smile

Added (09.20.2011, 4:21 PM)
---------------------------------------------
Dard Kam Honay Laga Aao K Kuch Raat Katay
Ghum Ki Kuch Mayaad Badhaao K Kuch Raat Katay

Hijar Mein Aah-o-Baka Rasm-e-Kahann Hai Laykin
Aaj Yeh Rasm He Dohraao K Kuch Raat Katay

Youn To Tum Roshni-e-Qalb-o-Nazar Ho Laykin
Aaj Wo Mojaza Dikhlaao K Kuch Raat Katay

Dil Dukhata Hai Wo Mil Kar Bhi Magar Aaj Ki Raat
Ussi Bay-Dard Ko Lay Aao K Kuch Raat Katay

Damm Ghuta Jaata Hai Afsurda Dilli Say Yaaro
Koi Afwaa Hee Phailaao K Kuch Raat Katay

 
  • Page 1 of 1
  • 1
Search: