[ New messages · Members · Forum rules · Search · RSS ]
Page Status - Month Of November 2011
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:26 PM | Message # 16
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
سادگی سے ہم نے سمجھا تھا ہمارا ذکر ہے
تذکرے کچھ اور ہی ان کے بیاں میں آے تھے
شاعر : احمد ہمدانی

Saadgi Se Hum Ne Samjha Tha Hamara Zikr Hai
Tazkarey Kuch Aur Hi Un Ke Bayaan Main Aye They
Poet : Ahmed Hamdani
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:27 PM | Message # 17
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
کچھ لوگ جو سوار ہیں کاغذ کی ناؤ پر
تہمت تراشتے ہیں ہوا کے دباؤ پر
شاعر : احسان دانش

Kuch Log Jo Sawaar Hain Kaghaz Ki Naao Par
Tohmat Tarashte Hain Hawa Ke Dabao Par
Poet : Ahsaan Danish
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:27 PM | Message # 18
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
ہم سے مت پوچھئے کیا نفس پہ گزری امید
ایک ایک سانس سے لڑتے ہوے لشکر دیکھے
شاعر : علی عباس امید

Hum Se Mut Pochiye Kia Nafs Pe Guzri Umeed
Ek Ek Saans Se Larte Huye Lashkar Daikhey
Poet : Ali Abbas Umeed
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:27 PM | Message # 19
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Tum Mere Pas Jab Nahi Hote.
Mujh Me Koi Kami Si Hoti Hai.

Pyar Bhi Wo Is Tarah Kerte Hein.
Jis Tarah Dushmani Si Hoti Hai.
...
Banda Parwar Mila Karo Ham Se.
Tum Ko Mil Kar Khushi Si Hoti Hai.

Us K Chalne Ki Tarz Aise Hai.
Jis Tarah Ragni Si Hoti Hai.

Bat Ka Husn Khatam Hai Un Par.
Baat Pehle Se Bani Hoti Hai.

Mai Kade Ki Shnakht Ye Hai Adam.
Her Taraf Zindagi Si Hoti Hai..

Poet : Abdul Hameed Addam

-----------------------------

تم میرے پاس جب نہیں ہوتے
مجھ میں کوئی کمی سی ہوتی ہے

... پیار بھی وہ اس طرح کرتے ہیں
جس طرح دشمنی سی ہوتی ہے

بندہ پرور ملا کرو ہم سے
تم کو مل کر خوشی سی ہوتی ہے

اس کے چلنے کی طرز ایسی ہے
جس طرح راگنی سی ہوتی ہے

بات کا حسن ختم ہے ان پر
بات پہلے سے بنی ہوتی ہے

مے کدے کی شناخت یہ ہے عدم
ہر طرف زندگی سی ہوتی ہے

شاعر : عبدلحمید عدم
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:27 PM | Message # 20
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
محشر کا خیر کچھ بھی نتیجہ ہو اے عدم
کچھ گفتگو تو کھل کے کرینگے خدا کے ساتھ
شاعر : عبدلحمید عدم

Mehshar Ka Khair Kuch Bhi Natija Ho Aay Addam
Kuch Guftugo Tou Khul Ke Karenge Khuda Ke Saath
Poet : Abdul Hameed Addam
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:28 PM | Message # 21
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
ساقی مجھے شراب کی تہمت نہیں پسند
مجھ کو تری نگاہ کا الزام چاہیے
شاعر : عبدلحمید عدم

Saaqi Mujhe Sharab Ki Tohmat Nahi Pasand
Mujh Ko Teri Nigah Ka Ilzaam Chahiye
Poet : Abdul Hameed Addam
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:28 PM | Message # 22
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
ایک ہوجاتی ہے دنیا میرے اندر باہر
میں سر شام اجڑ جاتا ہوں بازار کے ساتھ
شاعر : عباس تابش

Ek Ho Jati Hai Duniya Mere Andar Bahar
Main Sar e Shaam Ujar Jata Hun Bazaar Ke Saath
Poet : Abbas Tabish
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:28 PM | Message # 23
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
[ Bauchar - Gulzaar ]

Main Kuch Kuch Bhulta Jata Hun Ab Tujh Ko
Tera Chehra Bhi Dhundlanay Laga Hai Ab Takhyu'l Mein
Badalnay Lag Gaya Hai Ab Wo Subha Shaam Ka Ma'amool
... Woh Jis Mein Tujh Say Milnay Ka Bhi Ek Mamool Shamil Tha
Tere Khat Atey Rehtay Thay
Tou Mujh Ko Yaad Rehtay They
Teri Awaz Kay Sur Bhi
Teri Awaaz Ko Kaghaz Pay Rakh Kay
Main Nay Chaha Tha Kay "Pin Ker Lu"
Woh Jaisay Titliyoon Kay Par Laga Laita Hai Koi Apni Album Mein
Tera "Bay" Ko Daba Kay Baat Kerna
"wao" Par Honto Ka Chhalla Gool Ho Kar Ghoom Jata Tha
Bohat Din Ho Gaiy Dekha Nahi
Na Khat Mila Koi
Bohat Din Ho Gaye Sachi
Teri Awaaz Ki Bochhaar Mei Beegha Nahi Hun Main
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:28 PM | Message # 24
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
رو کے جینے میں بھلا کون سی شیرینی ہے
ہنس کے مر جاینگے ، سرکار کوئی بات نہیں
شاعر : عبدلحمید عدم

Roo Ke Jeene Main Bhala Kon Si Shirini Hai
Hans Ke Mar Jaenge , Sarkaar Koi Baat Nahi
Poet : Abdul Hameed Addam
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:29 PM | Message # 25
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Gali Teri Pasand Aai Buhut Hai
Yahan Har Shay Main Ra'anai Buhut Hai

Muhabbat Hai To Ik Rangeen Paisha
Magr Paishey Main Ruswai Buht Hai
...
Hai Tera Jhoot Kitna Khubsorat
Tere Lehje Main Sachai Buht Hai

Parey Rakhiye Ga Aanchal Ko Addam Se
Addam Sarkaar Soodai Buhut Hai

Poet : Abdul Hameed Addam

-----------------------------------

گلی تیری پسند آئی بہت ہے
یہاں ہر شے میں رعنائی بہت ہے

محبت ہے تو اک رنگین پیشہ
... مگر پیشے میں رسوائی بہت ہے

ہے تیرا جھوٹ کتنا خوبصورت
تیرے لہجے میں سچائی بہت ہے

پرے رکھیے گا آنچل کو عدم سے
عدم سرکار سودائی بہت ہے

شاعر : عبدلحمید عدم
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:29 PM | Message # 26
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Muskura Kar Khitaab Karte Ho
Aadatein Kyon Kharab Karte Ho

Ho Chuka Jo Hisaab Hona Tha
Aur Ab Kia Hisaab Karte Ho

Ye Naaii Ahtiyaat Dekhi Hai
Aaine Se Hijaab Karte Ho

Aik Din Aay Addam Na Pee To Kia
Roz Shughal e Sharab Karte Ho

Poet : Abdul Hameed Addam

-------------------------------

مسکرا کر خطاب کرتے ہو
عادتیں کیوں خراب کرتے ہو

... ہو چکا جو حساب ہونا تھا
اور اب کیا حساب کرتے ہو

یہ نئی احتیاط دیکھی ہے
آیئنے سے حجاب کرتے ہو

ایک دن اے عدم نہ پی تو کیا
روز شغل شراب کرتے ہو

شاعر : عبدلحمید عدم
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:29 PM | Message # 27
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
یوں محبت سے نہ ہم خانہ بدوشوں کو بلا
اتنے سادہ ہیں کہ گھر بار اٹھا لائیں گے
شاعر : عطا تراب

Yun Muhabbat Se Na Hum Khana-Badoshon Ko Bula
Itne Saada Hain Ke Ghar Baar Utha Laenge
Poet : Ata Turaab
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:29 PM | Message # 28
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
چاہیے کیا تمہے تحفے میں بتا دو ورنہ
ہم تو بازار کے بازار اٹھا لائیں گے
شاعر : عطا تراب

Chahiye Kia Tumhe Tohfe Main Bata Do Warna
Hum To Bazaar Ke Bazaar Utha Laenge
Poet : Ata Turab
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:30 PM | Message # 29
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
وہی ھوا نا،نہیں آئے اب کی بار بھی تُم
تمھیں کہا بھی تھا اِس بار عید کرنی ھے
فاخرہ بتول

Wohi Hua Na , Nahi Aaye Ab Ki Baar Bhi Tum
Tumhein Kaha Bhi Tha Is Baar Eid Karni Hai
Fakhira Batool
 
AadiDate: Friday, 11.11.2011, 9:30 PM | Message # 30
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
میں وہاں ہوں جہاں جہاں تم ہو
تم کرو گے کہاں کہاں سے گریز
شاعر : احمد فراز

Main Wahan Hun Jahan Jahan Tum Ho
Tum Karoge Kahan Kahan Say Guraiz
Poet : Ahmad Faraz
 
Search: