[ New messages · Members · Forum rules · Search · RSS ]
Page Status - Month Of February 2012
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:51 PM | Message # 31
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline

Naya Hai Shehr, Naaye Aasrey Talaash Karun ..
Tu Kho Gaya Hai , Kahaan Ab Tujhe Talaah Karun .. !!
[ Poet : Mohsin Naqvi ]
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:51 PM | Message # 32
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
مجھ کو تمہارے جانے کا غم ہے لگا ہوا
مجھ کو تمہارے آنے کی کوئی خوشی نہیں
شاعر : عبدلحمید عدم

Mujh Ko Tumharay Janay Ka Gham Hai Laga Hua
Mujh Ko Tumharay Aanay Ki Koi Khushi Nahi
Poet : Abdul Hameed Addam
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:52 PM | Message # 33
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
کیا ضروری ہے کے ہم ہار کے جیتیں تابش
عشق کا کھیل برابر بھی تو ہو سکتا ہے
شاعر : عباس تابش

Kia Zarori Hai K Hum Haar Ke Jeetein Tabish
Ishq Ka Khail Barabar Bhi To Ho Sakta Hai
Poet : Abbas Tabish
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:52 PM | Message # 34
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
زندگی کس طرح بسر ہوگی
دل نہیں لگ رہا محبت میں
شاعر : جون ایلیا

Zindagi Kis Tarah Basar Ho Gi
Dil Nahi Lag Raha Mohabbat Mein
Poet : Jaun Elia
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:52 PM | Message # 35
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
سنتا ہوں بے گھروں کی بحالی کے واسطے
کاغذ پہ کچھ مکان بناۓ گئے تو ہیں
شاعر : رئیس امروہوی

Sunta Hun Be-Gharon Ki Bahali Ke Wastey
Kaghaz Pe Kuch Makaan Banaye Gaye To Hain
Poet : Rais Amrohvi
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:52 PM | Message # 36
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
‎[ Khuwaish -- Amjad Islam Amjad ]

Darya Mein Qatray Ki Soorat....!!
Gumm Ho Jaon..!!
Apnay Aap Say Bahar Nikloon..!!
"Tum" Hoo Jaon...!!
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:52 PM | Message # 37
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
گمان نہ کرکہ مجھے جرات سوال نہیں
فقط یہ ڈر ہے تجھے لاجواب کر دونگا
شاعر : عبدلحمید عدم

Gumaan Na Kar Ke Mujhe Jurrat e Sawal Nahi
Faqat Ye Darr Hai Tujhe Lajawab Kar Dunga
Poet : Abdul Hameed Addam
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:53 PM | Message # 38
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
لِللَہ خدا کے واسطے میرے لئے ان کو
شاعری کے علم و فن سے شناسا کرے کوئی
شاعر : استاد امام دین گجراتی

Lillah ! Khuda Ke Waste Mere Liye Un Ko
Shairy Key Ilm O Fun Se Shanasa Karey Koi
Poet : Ustad Imam Din Gujrati
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:53 PM | Message # 39
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
افسوس یہ نہیں ہے کہ میرا نہیں ہوا
وہ شخص ساری عمر کسی کا نہیں ہوا
شاعر : حسن کاظمی

Afsos Ye Nahi Hai Ke Mera Nahi Hua
Wo Shaks Saari Umr Kisi Ka Nahi Hua
Poet : Hassan Kazmi
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:53 PM | Message # 40
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
[ Poet : Abbas Tabish ]

Dhoop Hun Parchaain Hun Ya Koi Badal Shaks Hun
Tujh Nazr Ke Zaaviye Hain Main To Oojhal Shaks Hun

Tujh Ko Ginta Hun Main Apne Aap Main Is Wastey
Ta Ke Duniya Ko Bata Paaon Mukammal Shaks Hun

Dost ! Mera Ma'asla Kuch Mukhtalif Hai Pairr Se
Wo Phalon Se Aur Main Yaadon Se Bojhal Shaks Hun

Raakh Hone Tak Tujhe Jaane Nahi Dunga Kahein
To Bharakti Aag Hai To Main Bhi Jungal Shaks Hun

Tou Ne Apna Ma'asla Chora Hai Meri Aankh Par
Aay Jamaal E Yaar ! Main Tou Khud Se Oojhal Shaks Hun
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:53 PM | Message # 41
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
تو بے وفا ہے تو لے اک بری خبر سن لے
کہ انتظار میرا دوسرا بھی کرتا ہے
شاعر : منوّر رانا

To Bewafa Hai To Le Ik Buri Khaber Sun Le
Ke Intezaar Mera Dosra Bhi Karta Hai .. !!
Poet : Munawwar Rana
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:53 PM | Message # 42
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Sehra Main Reh Ke Qais Zyada Mazay Main Hai
Duniya Samajh Rahi Hai Ke Laila Mazay Main Hai

Barbaad Kar Dia Hamein Pardais Ne Magr
Ma'an Sab Se Kah Rai Hai Ke Beta Mazay Main Hai

Hai Roh Be-Qarar Abhi Tak Yazeed Ki
Woh Is Liye Ke Aj Bhi Piyasa Mazay Main Hai

Duniya Agr Mazaak Badal De To Aur Baat
Ab Tak To Jhoot Bolne Wala Mazay Main Hai

[ Poet : Munawwar Rana ]
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:53 PM | Message # 43
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
بہت جی چاہتا ہے قید جان سے ہم نکل جائیں
تمہاری یاد بھی لیکن اسی ملبے میں رہتی ہے
شاعر : منوّر رانا

Buht Jee Chahta Hai Qaid e Jaan Se Hum Nikal Jaaen
Tumhari Yaad Bhi Lakin Isi Malbey Main Rehti Hai .. !
Poet : Munawwar Rana
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:54 PM | Message # 44
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
کروں گا کیا جو محبت میں ہو گیا ناکام
مجھے تو اور کوئی کام بھی نہیں آتا
شاعر : غلام محمد قاصر

Karun Ga Kia Jo Muhabbat Main Ho Gaya Nakaam
Mujhe To Aur Koi Kaam Bhi Nahi Aata .. !!
Poet : Ghulaam Muhammad Qasir
 
AadiDate: Sunday, 03.04.2012, 12:54 PM | Message # 45
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
[ Kuch Ishq Kiya, Kuch Kam Kiya – Faiz Ahmed Faiz ]

Wo Log Buht Khush Kismat The
Jo Ishq Ko Kam Smjhte The
Ya Kaam Se Aashqi Krty The
Hum Jeety Ji Masroof Rahe
Kuch Ishq Kiya Kuch Kam Kiya
Kaam Ishq K Aary Ata Raha
Aur Ishq Se Kam Ulajhta Raha
Phir Aakhir Tang Aa Kr Hum Ne
Dono Ko Adhoora Choor Dia
 
Search: