Page Status - Month Of October 2011
|
|
Aadi | Date: Tuesday, 10.11.2011, 7:06 PM | Message # 61 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| دل راکھ ہو چکا تو چمک اور بڑھ گئی یہ تیری یاد تھی کہ عمل کیمیا کا تھا شاعر : احمد ندیم قاسمی
Dil Raakh Ho Chuka To Chamak Aur Barh Gai Ye Teri Yaad Thi Ke Amal Keemiya Ka Tha Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:21 AM | Message # 62 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| میں وہاں ہوں جہاں جہاں تم ہو تم کرو گے کہاں کہاں سے گریز شاعر : احمد فراز
Main Wahan Hun Jahan Jahan Tum Ho Tum Karoge Kahan Kahan Say Guraiz Poet : Ahmad Faraz
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:21 AM | Message # 63 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| [ Poet : Bashir Badr ] Ankhon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahi Dekha Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha
Bewaqt Agar Jaunga Sab Chaunk Parenge Ek Umr Huyi Din Main Kabhi Ghar Nahi Dekha
Jis Din Se Chala Hun Meri Manzil Pe Nazar Hai Ankhon Ne Kabhi Meel Ka Patthar Nahi Dekha
Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Main Mile Hain Tumne Mera Kanto Bhara Bistar Nahi Dekha
Yaarno Ki Mohabbat Ka Yaqeen Kar Liya Maine Phoolon Main Chhupaya Hua Khanjar Nahi Dekha
Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgon Ki Zameenene Jo Chhor Diya Phir Usey Mur Kar Nahi Dekha
Khat Aisa Likha Hai Ke Nageene Se Jade Hain Un Haathon Ne Lekin Koi Zevar Nahi Dekha
Patthar Mujhe Kehta Hai Mainra Chahne Wala Mai Moum Hun Usne Mujhe Chhu Kar Nahi Dekha
Woh Mere Masayil Ko Samajh Hi Nahi Sakta Jis Ne Meri Ankhon Main Samandar Nahi Dekha
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:22 AM | Message # 64 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| اس کی باتیں سوچی سمجھی جیسے میر کے نازک شعر میری باتیں بہکی بہکی جیسے غالب کا دیوان
Us Ki Baatein Sochi Samjhi Jese Meer Ke Nazuk Shair Meri Baatein Behki Behki Jese Ghalib Ka Deewan
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:22 AM | Message # 65 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| ہم کو اس شہر میں تعمیر کا سودا ہے جہاں لوگ معمار کو چن دیتے ہیں دیوار کے ساتھ شاعر : احمد فراز
Hum Ko Is Sheher Main Ta'ameer Ka Souda Hai Jahan Log Ma'amar Ko Chun Dete Hain Deewar Ke Saath Poet : Ahmed Faraz
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:22 AM | Message # 66 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| Yaad Rakho . Ye Sachey Aansou Barey Anmol Hote Hain , Aajzi, Nidamat Aur Tauba Ke Aansou . Ye Jitney Bahr Girte Hain , Us Se Buhut Zyada Ander Girte Hain Aur Sab Kuch Dho Dalte Hain , Pak Kardete Hain Wajood Ko
[ Aleem-Ul-Haq Haqqi Ke Novel “ Waqt Ke Faasle” Se Intekhab ]
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:22 AM | Message # 67 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| تیری نظروں کے فیض سے ان مشکلوں میں ہوں جن مشکلوں کو تو بھی اب آسان نہ کر سکے شاعر : احسان دانش
Teri Nazron Ke Faiz Se Un Mushkilon Main Hun Jin Mushkilon Ko Tu Bhi Ab Aasaan Na Kar Sake Poet : Ahsan Danish
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:22 AM | Message # 68 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| زنجیر سمجھ کر مجھے توڑا ہے تو نے اب تجھ کو پریشاں مری جھنکار نہ کر دے شاعر : مظفر وارثی
Zanjeer Samjh Kar Mujhe Tora Hai Tu Ne Ab Tujh Ko Pareshan Meri Jhankar Na Kar De Poet : Muzafar Warsi
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:23 AM | Message # 69 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| سوچتا ہوں کہ بجھا دوں میں یہ کمرے کا دیا اپنے سایے کو بھی کیوں ساتھ جگاؤں اپنے شاعر : انور مسود
Sochta Hun Ke Bujha Dun Main Ye Kamre Ka Diya Apne Saaye Ko Bhi Kyon Saath Jagaon Apne Poet : Anwar Masood
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:23 AM | Message # 70 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| اب کیوں نہ زندگی پہ محبت کو وار دیں اس عاشقی میں جان سے جانا بہت ہوا شاعر: احمد فراز
Ab Kyon Na Zindagi Pe Muhabbat Ko War Den Is Aashiqi Main Jaan Se Jana Buhut Hua Poet : Ahmed Faraz
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:23 AM | Message # 71 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| Hamare Liye Chobis (24) Ghanton Main Panch (5) Baar Allah Ko Yaad Karna Bohat Mushkil Hai, Liken Hum Chahte Hain K Allah Chobis (24) Ghanton Main Har Pal Hamara Khayal Rakkhey. Humain Har Nuqsaan Se Bachaye, Humain Har Us Cheez Se Nawazay Jis Ki Hamain Khuwahish Hai ..
[ From Novel ''Hasil'' By Umera Ahmed ]
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:24 AM | Message # 72 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| میرا مسلک اداس رہنا ہے غم کی تبلیغ کر رہا ہوں میں شاعر : قیس علی
Mera Maslak Udas Rehna Hai Gham Ki Tableegh Kar Raha Hun Main Poet : Qais Ali
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:24 AM | Message # 73 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| دل سمندر بھی ہو اگر امجد پیاس غم کی بجھا نہیں سکتا شاعر : امجد اسلام امجد
Dil Samander Bhi Ho Agar Amjad Piyaas Ghum Ki Bujha Nahi Sakta Poet : Amjad Islam Amjad
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:24 AM | Message # 74 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| درد دل کو زبان دو مظہر ورنہ کیا شاعری میں رکھا ہے شاعر : مظہر قسیم مظہر
Dard e Dil Ko Zubaan Do Mazhar Warna Kia Shairy Main Rakha Hai Poet : Mazhar Qaseem Mazhar
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:24 AM | Message # 75 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| مرنے والے تو خیر بے بس ہیں جینے والے کمال کرتے ہیں شاعر : عبدلحمید عدم
Marne Waley To Khair Be-Bas Hain Jeeney Waley Kamaal Kartey Hain Poet : Abdul Hameed Addam
|
|
| |