[ New messages · Members · Forum rules · Search · RSS ]
Page Status - Month Of October 2011
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:24 AM | Message # 76
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
وہ مزہ دیا تڑپ نے کہ یہ آرزو ہے یا رب
میرے دونوں پہلوؤں میں دل بےقرار ہوتا
شاعر : غالب

Wo Maza Dia Tarap Ne Ke Yeh Aarzo Hai Ya Rab
Mere Dono Pehlo'on Main Dil e Beqarar Hota
Poet : Ghalib
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:24 AM | Message # 77
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
وہ اب لاکھوں دلوں سے کھیلتا ہے
مجھے پہچان لے ، اتنا بہت ہے
شاعر : بشیر بدر

Wo Ab Laakhon Dilon Se Kheltaa Hai
Mujhe Pehchaan Le, Itnaa Bahut Hai
Poet : Bashir Badr
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:24 AM | Message # 78
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
مجھے اپنے روپ کی دھوپ دو کہ چمک سکیں مرے خال وخد
مجھے اپنے رنگ میں رنگ دو، مرے سارے زنگ اتار دو
شاعر : اعتبار ساجد

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do Ke Chamak Sakein Mere Khad o Khal
Mujhe Apne Rang Main Rang Do , Mere Saarey Zang Utar Do ..
Poet : Aitebar Sajid
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:25 AM | Message # 79
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
پیڑ کو دیمک لگ جائے یا آدم زاد کو غم
دونوں ہی کو امجد ہم نے بچتے دیکھا کم
شاعر : امجد اسلام امجد

Pair Ko Deemak Lag Jaye Ya Adam Zaad Ko Ghum
Dono Hi Ko Amjad Hum Ne Bachte Dekha Kum
Poet : Amjad Islam Amjad
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:25 AM | Message # 80
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
قتل کرنا تو کوئی بات نہیں
زندگی دو تو یہ کمال بھی ہے
شاعر : خالد محمود امر

Qatl Karna To Koi Baat Nahi
Zindagi Do Tou Ye Kamal Bhi Hai
Poet : Khalid Mehmood Amar
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:25 AM | Message # 81
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
ذکر جب چھڑ گیا قیامت کا
بات پہنچی تیری جوانی تک
شاعر : فانی بدایونی

Zikr Jab Chir Gayaa Qayaamat Ka
Baat Pahunchi Teri Jawaani Tak
Poet : Faani Budaayuni
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:25 AM | Message # 82
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Samaji Qadrein Tezi Se Badal Rai Hai Hain . Aaj Se Pandra (15) Bees (20) Saal Pahle Sharafat Ka Jo Mayar Tha Usey Aj Falakat Zadgi Aur Jahalat Se Ta'abeer Kia Jata Hai , Misaal Ke Taur Par Pardey Ko Le Lijiye , Pahle Ye Sharafat Aur Aala Nasbi Ki Pahchan Thi . Aaj Parda'nasheen Khwateen Ko Ya To Nichley Tabqey Se Muta'aliq Smjha Jata Hai Ya Jaahil ..

[ Ibn E Safi ]
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:25 AM | Message # 83
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
اب وہ کسی بساط کی فہرست میں نہیں
جن منچلوں نے جان لگا دی تھی داؤ پر
شاعر : احسان دانش

Ab Wo Kisi Bisaat Ki Fehrist Main Nahi
Jin Manchalon Ne Jaan Laga Di Thi Daao Par
Poet : Ahsaan Danish
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:25 AM | Message # 84
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Tumhe Yeh Kis Ne Kah Dia Aakhir Ke
Kisi Restaurant Ke Neem Tareek Goshey Main
Beth Kar , Madhum Roshniyon Main
Muskurate Labon Se Baat Karna
Aur Ice Cream Ke Cup Main Chamach Hilatey Huye
Khuwaish e Dil Ko
Zubaan Pe Le Ana Muhabbat Hai ?
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:25 AM | Message # 85
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
کتنی دلکش ہے اس کی خاموشی
ساری باتیں فضول ہوں جیسے
شاعر : نواج دیوبندی

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi
Sari Baatein Fuzool Hon Jaise
Poet : Nawaj Devbandi
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:26 AM | Message # 86
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
اک جھلک ان کی دیکھ لی تھی کبھی
وہ اثر دل سے آج تک نہ گیا
شاعر : اکبر اللہبادی

Ik Jhalak Unki Dekh Li Thi Kabhi
Wo Asar Dil Se Aaj Tak Na Gayaa
Poet : Akbar Allahabadi
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:26 AM | Message # 87
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
Poet : Yaseen Shahi

Kai Badnamia'n Hoti , Kai Ilzam Sar Jatey
Magar Ae Kash Ham Dono'n Hamee'n Dono Pe Mar Jatey

Agar Tum Khawab Hotey To Tumhe Aankho'n Mai Rakh Letey
Na Goya Neend Se Phir Jagtey Hatta K Marr Jatey

Agar Hum Roshni Hotey To Phir Ahsas Ki Lau Se
Zamee'n Ko Chhorh Detey Mill K Dono'n Chand Par Jatey

Agar Tum Phool Hotey To Tumhari Khushboo Mein Rehtey
Samandar Ki Tarah Hotey To Ham Tum Mein Utar Jatey
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:26 AM | Message # 88
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
مجھے دنیا کے بناے ہوے قوانین سے سخت نفرت ہے جو قتل کر دینے والے کو تو موت کی سزا دیتے ہیں مگر جو روح کو کچل دیتے ہیں وہ آزاد پھرتے رہتے ہیں
خلیل جبران

Mujhe Duniya Ke Banaye Huye Qawaneen Se Sakht Nafrat Hai Jo Qatl Kardene Waley Ko Tou Mout Ki Saza Dete Hain Magr Jo Roh Ko Kuchal Dete Hain Wo Azad Phirte Rehte Hain.
Khalil Jibran
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:26 AM | Message # 89
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
خواب ہوتے ہیں دیکھنے کے لئے
ان میں جا کر مگر رہا نہ کرو
شاعر : منیر نیازی

Khawab Hote Hain Dekhne Ke Liye
In Main Ja Kar Magr Raha Na Karo
Poet : Munir Niazi
 
AadiDate: Saturday, 10.29.2011, 1:26 AM | Message # 90
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Reputation: 0
Status: Offline
سیانے کہتے ہیں لفظ خالی برتن ہوتے ہیں . ان میں مفہوم ہم ڈالتے ہیں . لفظ ایک ہوتا ہے ہر شخص کا مفہوم مختلف ہوتا ہے . اپنے علم اور تجربے کے مطابق ہوتا ہے
ممتاز مفتی

Sayaaney Kehtey Hein Lafz Khali Bartan Hotey Hein In Mein Mafhoom Hum Daltey Hein . Lafz Ek Hota Hai Har Shakhs Ka Mafhoom Mukhtalif Hota Hai . Apne Ilm Aur Tajurbay K Mutabiq Hota Hai.
Mumtaz Mufti
 
Search: