Page Status - Month Of October 2011
|
|
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:26 AM | Message # 91 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| صرف میرے لئے نہیں رہنا تم میرے بعد بھی حسین رہنا شاعر : اسلم کولسری
Sirf Mere Liye Nahi Rehna Tum Mere Baad Bhi Haseen Rehna Poet : Aslam Kolseri
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:27 AM | Message # 92 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| Baat Agar Baat Ho Gai Hoti. Ek Karamat Ho Gai Hoti. Ham Agar Apni Zid Pe Arr Jate. Aap Ko Mat Ho Gai Hoti. Umer Is Aarzoo Main Beet Gai. Un Se Ik Bat Ho Gai Hoti.
Poet : Abdul Hameed Addam
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:27 AM | Message # 93 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| خودکشی تک حرام ہے یعنی یہ بھی ممکن نہیں کہ مر جاؤ شاعر : انور شعور
Khudkushi Tak Haraam Hai Yaani Ye Bhi Mumkin Nahi Ke Marr Jao Poet : Anwar Shaoor
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:27 AM | Message # 94 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| غیروں کو کیا پڑی ہے کے رسوا کریں مجھے ان سازشوں میں ہاتھ کسی آشنا کا ہے شاعر : اسعد بدایونی
Ghairon Ko Kia Pari Hai Ke Ruswa Karein Mujhe In Sazishon Main Haath Kisi Aashna Ka Hai Poet : Asaad Badayuni
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:27 AM | Message # 95 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| بعض اوقات دل کی دنیا بھی آنکھ کے فیصلوں پہ چلتی ہے شاعر : احسان دانش
Baaz Auqat Dil Ki Duniya Bhi Aankh Ke Faislon Pe Chalti Hai Poet : Ahsaan Danish
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:27 AM | Message # 96 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| جو گزرتی ہے رات لکھتے ہیں ہر نئی واردات لکھتے ہیں ہم کبھی حادثات لکھتے تھے اب ہمیں حادثات لکھتے ہیں
Jo Guzarti Hai Raat , Likhte Hain Har Nayee Wardaat, Likhte Hain Hum Kabhi Haadsaat Likhte Thay Ab Humain Hadsaat Likhte Hain
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:27 AM | Message # 97 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| Yahan Kitney Hain Jin K Pooray Pooray Khandan Kisi Na Kisi Hadsay Ka Shikar Ho Jatay Hain...Woh Phir Bhi Saber Kartey Hain , Allah Se Soday Bazi Nahi Ki Ja Sakti.. Na-Shukri Se Agar Kisi Ko Farq Paray Ga To Tum Ko Paray Ga..... Nuksan Ager Koi Uthay Ga Tou Tum Hi Uthaoge
Umera Ahmed Ke Novel “Haasil” Se Intekhab
یہاں کتنے ہیں جن کے پورے پورے خاندان کسی نہ کسی حادثے کا شکار ہو جاتے ہیں . وہ پھر بھی صبر کرتے ہیں ، الله سے سودے بازی نہیں کی جا سکتی . نہ شکری سے اگر کسی کو فرق پڑے گا تو تم کو پڑے گا . نقصان اگر کوئی اٹھاے گا تو تم ہی اٹھاؤ دے
عمیرا احمد کے ناول "حاصل " سے انتخاب
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:28 AM | Message # 98 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| بازیچہ اطفال ہے دنیا میرے آگے ہوتا ہے شب و روز تماشا میرے آگے شاعر : غالب
Bazeecha-e-Itfaal Hay Dunya Mere Aagay, Hota Hay Shab-O-Roz Tamasha Mere Aagay, Poet : Ghalib
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:28 AM | Message # 99 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| [ Mustansar Hussain Tarrar Ki " Nikle Teri Talash Main " Se Intekhab ]
"Ye Denmark Ke Pahle NanBai Ki Dukaan Hai" .. Germany Ki Sarhad Uboor Kar Ke Denmark Main Daakhil Hote Hi Aap Ki Nazr Is Ishtehar Par Parti Hai . Main Dablroti Kharedne Ke Liye Dukaan Key Ander Gaya To Naanbai Ne Denmark Ki Riwaiti Mehmaan Nawazi Ka Muzahira Karte Huye Qeemat Lene Se Inkaar Kardia..
" Tum Pahle Pakistani Ho Jo Denmark Ke Pahle Naanbai Ki Dukaan Par Aye Ho " Us Ne Dablroti Lifafey Main Band Kar Ke Mujhe Thama Di , "Aur Aakhri Bhi" .
" Wo Kaise ? " Maine Dablroti Samaan Ke Thailey Main Rakhte Huye Pocha
"Bahr Ja Kar Pusht Par Likhi Hui Ibarat Parh Lo" Us Ne Hans Kar Kaha ..
Maine Bahr Ja Kar Ishtehar Ki Dosri Janib Dekha To Wahan Likha Tha
" Ye Denmark Ki Aakhri Naanbai Ki Dukaan Hai " .
Ye Ek Khubsorat Ikhtirah Thi , Zahir Hai Germany Se Sarhad Uboor Kar Ke Aane Walon K Liye Wo Pahla Naanbai Tha Aur Denmark Se Germany Jane Walon K Liye Aakhri .
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:28 AM | Message # 100 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| اس شرط پہ چاہے کوئی لے لے میری آنکھیں دیکھے نہ حسینوں کے سوا اور کسی کو شاعر : انور مسعود
Is Shart Peh Chahey Koi Le Le Meri Aankhein Dekhe Na Haseenon Ke Siwa Aur Kisi Ko Poet : Anwar Masood
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:28 AM | Message # 101 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| چال چلتے ہوئے شطرنج کی بازی کے اصول بھول جاؤ گے تو پھر مات بھی ہو سکتی ہے شاعر : محسن بھوپالی
Chal Chalte Huye Shatranj Ki Baazi Ke Usool Bhool Jaoge To Phir Maat Bhi Ho Sakti Hai Poet : Mohsin Bhopali
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:28 AM | Message # 102 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| یہ کیسا تفرقہ ہجراں نے ڈالا ؟ کہیں کیا ؟ ہم کہیں ہیں ، دل کہیں ہے نہ پوچھو شیفتہ کا حال ، صاحب یہ حالت ہے کہ اپنے میں نہیں ہے شاعر : مصطفیٰ خان شیفتہ
Ye Kesa Tafruqa Hijran Ne Dala? Kahien Kia ? Hum Kahein Hain , Dil Kahien Hai Na Pocho Shaifta Ka Haal , Saahib Ye Halaat Hai Keh Apne Main Nahi Hai Poet : Mustafa Khan Shaifta
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:28 AM | Message # 103 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| کہوں کچھ ان سے اثر ہو تو اعتبار آے سنا تو میں نے بھی یہ ہے کے خوب کہتا ہوں شاعر : اکبر اللہبادی
Kahun Kuch Un Se Asar Ho Tou Aitebaar Aye Suna To Maine Bhi Ye Hai Ke Khoob Kahta Hun Poet : Akbar Illahbadi
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:29 AM | Message # 104 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| اب اس کے دل پہ میری حکومت نہیں رہی اب دسترس سے یہ بھی علاقہ نکل گیا شاعر : منور رانا
Ab Uske Dil Pe Meri Hukoomat Nahi Rahi Ab Dastaras Se Ye Bhi Ilaaqa Nikal Gaya Poet : Munawar Rana
|
|
| |
Aadi | Date: Saturday, 10.29.2011, 1:29 AM | Message # 105 |
Junior Addicted Member
Group: Administrators
Messages: 897
Status: Offline
| کرتا رہا میں تیرے لئے دوستوں سے جنگ تو میرے دشمنوں سے خفا کیوں نہیں ہوا جو کچھ ہوا وہ کیسے ہوا جانتا ہوں میں جو کچھ نہیں ہوا وہ بتا کیوں نہیں ہوا شاعر : عرفان صدیقی
Karta Rahaa Main Tere Liye Doston Se Jung, Tu Mere Dushmano Se Khafaa Kyun Nahi Hua Jo Kuch Hua Wo Kaise Hua Jaanta Hoon Main Jo Kuch Nahi Hua Wo Bataa Kyun Nahi Hua Poet : Irfaan Siddique
|
|
| |